Poetry Zone






Home 

Islam

Islam 2

Allah's Miracles

Health Infobank

Girly Health

Bollywood 4 you

Bollywood

Lollywood4u

Funny Pictures

Favorite Links

Car of the Month

Recipe of the Month

Ringer Tones

Poetry Zone

Fashion Klub

Guestbook

  


Imine's Poetry Page


Enjoooy!!

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....

Koyi dost hai na koi rakeeb hai
Tera shaher kitna ajeeb hai
Yahan kiska chehra pada karoon
Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai

Aaj ujaali ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din
jab humne unse umeed rakha
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat ho gayi

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...



 

Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana

Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...brother Sabir Jalalabadi

Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar ke aati hai



Some funny ones :)

Teri Beauty Ne Mujko Appeal Kiya,
Dusri Ko Reject Kiya,
Aur Tisri Ko Select Kiya.

Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel
So my darling ... What's The Big-Deal ??

Birdy, birdy in the sky
Why you poo poo in my eye
I didn't sigh, i didn't cry
Thank God, Cow's don't fly !

Apple kat ta hoon knife se,
Paani peeta hoon pipe se,
Kya zamana aaa gaya,
Joote khata hoon wife se

Dil Logi Ke Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone Main Kitna Time Logi

Patharr kyun marte ho, pura pahaar maar do
Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do

Meri jaib main hai kath, meri rifle bhari hui hai
Mujhe khauf kya police ka, mera baap mantri hai

Neil Armstrong Chand par Gaya aur Farmaya
Ye Saala, Idhar hawa kyon nahin ayaa

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
[Audience: Are bhai, aage bhi to bolo.]
Hawa hi hawa hai.

BOY
Kehdo Ke Tum Mujhko List Main Rakho Gi,
Kehdo Ke Tum Mujhse Chatting Karo Gi,
GIRL
Dekhun Gi, Sochun Gi,
Bore Hungi To Unblock Karoon Gi. 
 

Jaaney Online Kab Se Hai Tuu,
Jab Se Main Hun Tab Se Hai Tuu,
Mujhko Mere rab Ki Kasam,
Pehle Din Se Block Hai Tuuuu...

Laajawaab Shayri
tere hothon se lag kar yeh hawa sharab ban gayi
aankhon se lag kar yeh hijaab ban gayi
aur gaalon se lag kar yeh gulab ban gayi.
sach hi kahti hai yeh duniya jaaneman
ki mujh se mil kar tu laajawaab ho gayi


Badshah!
dhan se na paya koi roop se na paya
anmol ratan hei woh koi mol na lagaya

yun lutata gaya koi dil mei chhupata gaya
amir mehel ka kabhi fakir se haath milaya

dil mei dard kabhi ankhon mei nasha
hoton mei pyaar lekin baton se kare ghussa

ye hei dil ka ranjha koi sharabi ka nasha
mohabbat hei naam iska.................
yaaron ko jo banaye BADSHAH!!!!


Chand mein ched
Kon kahta kai aasma me ched nahi hota
ek pathar to jara jor se uchalo yaaron


Pyaar Nahin...
Har baat ka matlab inkaar nahin hota,
Hat jagah par baithana intezaar nahin hota,
Yun to milti hai hazaron se nazrein,
Har nazar ak milna pyaar nahin hota.

Tajmahal kya cheez hai,
isse badi imarat banaunga,
Mumtaz to marke dafan hui thi,
tuzhe to mein zinda dafnaunga.


Zindagi Ka Itihaas
tujhse zindagi bhar pyar karne ka armaan hai mera, mujhe bhool mat jaana, ki main ban jaun itihaas tumhara.


AANSU....
AANSUO SE PALKE BHIGO LETA HOON
YAAD TERI AATI HAI TO RO LETA HOON
SOCHA KI BHOOLA DOO TUJHE MAGAR
HAR BAAR FAISLA BADAL DETA HOON


Pyaar Ka Izhaar..
Mera dil dhadakta hai sirf tere liye,
mera dil tadapta hai sirf tere liye,
naa jane mein kyun darta hoon aapse,
apne pyaar ka izhar karne ke liye.

Aapke shaher ka mausam suhana lage,
Aapki ek shaam chura lun agar bura naa lage,
Aap chahe to bhula de humko,
Par aapko bhulane mein shayad hame zamana lage.



If you want to see your poem here then u mail mail it 2 us on imineworld@yahoo.co.uk

Ek Sher sunaata hoon bade dhyan se suno
Mujhe shair nahi aata kisi aur se suno.


Yeh tera chehra hai yaa kele ka chhilka
Jo dekha to dil phisal gaya

Tairna Hai To Paani Main Aao, Kinare Pe Kya Rakha Hai
Ishq Karna Hai To Bahar aa, Ishare main Kya Rakha Hai

Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye

Maine tujhe dekha
Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya

Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge

Aaakhain taras gaye tumhara khyal aa gaya
Ab to chehra dikha do, naya saal aaa gaya

Gul Gaye Gulshan Gaye, Gul Ke Patte Rah Gaye
Sare Shayair Mar Gaye, Tum Ullu Ke Pathe Rah Gaye

Ghar ghar main diya jale
To diwali mat samjho
Agar main tera peeche paroon
To mawali mat samjho

Janaza Mera Nikla, Duniya Dekh Ne Nikli
Magar Woh Zalim Na Nikli, Jiske Liye Mera Janaza Nikla

Tere ishq main janam kya se kya haal ho gaya
Badan se badboo aa rahee hai, nahay jamana ho gaya

 



 
Kala kajal,
Kala baadal,
Kala rang kadhai ka,
Ek to teri yaad satave,
Duja fikar padhai ka.

Aap ki vo zaalim ada,
mujh ko bimaar kargayi,
ek baar aapne muskura kya diya,
teer ko dil ke paar kargayi.

Hum jisse pyaar kare
Vo kisi aur se pyaar kare,
Par vo jisse pyaar kare,
Bhagvaan kare
Vo kisi aur se pyaar kare.

the top one is kinda funny.

 
Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye


Woh dil hi kiya tere milnay ki jo dua na kare
Main tuj ko bhool kar zinda rahoon, Khuda na kare


Phir uske jaate hi dil sunsaan ho kar reh ghaya
Achcha bala ek shehar tha weeran ho kar reh gaya


Raaz-e-mohabbat kehne walay to lakhon miltay hain
Raaz-e-mohabbat rakhne wala hum sa dekha ho to kaho


Woh bewafa hai to kiya,
mut bura kaho usko,
Ke jo hua sau hua,
khush rakhay khuda usko.


I love this share

Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Dil jalati hai, par honto se to lagti hai


Voh Sadak Ke Us Paar Thi
Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi Hum
Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein,
Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein




 

Hum Apne Aasuon Ka Afsaanaa


Hum apne aasuon ka afsaanaa
Kyaa sunaayein, kyaa sunaayein
Duniyaa ne kar diyaa he deevaanaa
Kyaa bataayein, kyaa bataayein

Sab zakhm bhar chuke hein, sab khvaab mar chuke hein
Ab kis ummeed par hum, shammein nayi jalaayein

In kashtiyon ka kyaa he, aksar ye hi huaa he
Toofaan se nikal kar, saahil pe doob jaayein

Kab saath umr bhar ka, humdil zidon ne chaahaa
Par humsafar hamaare, kuchh door tak to aayein

Written by Ahmed Faraz
Sung by Malika Pukhraj


Kal Chaudhvin Ki Raat Thi


Kal chaudhvin ki raat thi
Shab bhar rahaa charchaa teraa
Kuchh ne kahaa ye chaand he
Kuchh ne kahaa chehraa teraa

Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochhaa kiye
Hum has diye, hum chup rahe
Manzoor thaa, pardaah teraa

Is shaher me kisse milein
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks teraa naam le
Har shaks deevaanaa teraa

Koonche ko tere chhodkar
Jogi hi ban jaayein magar
Jangal tere, parvat tere
Basti teri, saharaa teraa

Bedard sunni ho to chal
Kehtaa he kyaa achhi gazal
Aashiq teraa, rusvaa teraa
Shaayar teraa, 'Inshaa' teraa

Written by Ibn-e-'Inshaa'
Sung by Jagjit Singh



 

Lost Lover
Aasmaan aaj phir se roya hai,
Naakaam Aashiqon ke haar mein ek aur moti piroya hai,
Koi to bataaye kahan mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr mein mera yeh pyaar soya hai.

Mohabbat ke naam se darte thhey
Dil ki dhadkan dhadka gaya koi
Hum anjaani raahon pe chal rahe thhey
Achaanak hi manzil dikha gaya koi

Mere saath tum ho ya meri parchhaai hai
Na jaane kis mukaam pe mohabbat humein le aayi hai
Bheed mein hoon phir bhi kyun tanhai chhai hai

 

Our Relationship
Haaton mein leeye paemana, jaam dhoonda karta hoon.
Tere sang gujarne ko, ek saam dhoonda karta hoon.

Duniya wale humare rishtey ko, yu hee badnaam karte hain.
Ke main eis rishtey ko, dene ek naam dhoonda karta hoon.

Teri khwaabon mein, goojartei hain raaten.
Teri yaadoin mein, kattei hain shaam.

Tere-mere baare, log karte hain baatein.
Aise-jaise, yahan charcha ho koi aam.

Talwar & Nayan
Katla karna hai to nayan se kar
Katla karna hai to nayan se kar
Talwar mein kya rakha hai
Key na ho takleef
Key na ho takleef
Mujhe sir jhukane ki
aur tumhein talwar uthane ki

Khud Hee Ho Jata Hai..Ishq
Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.

Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.

 

Pyaar Ka Izhaar..
Mera dil dhadakta hai sirf tere liye,
mera dil tadapta hai sirf tere liye,
naa jane mein kyun darta hoon aapse,
apne pyaar ka izhar karne ke liye.

Aapke shaher ka mausam suhana lage,
Aapki ek shaam chura lun agar bura naa lage,
Aap chahe to bhula de humko,
Par aapko bhulane mein shayad hame zamana lage.

 

Pawitr Rishta (Pure Relationship)
Jab hum is duniya mein aate hai,
Toh kitne rishtey saath laatey hai.
Duniya mein aane ne baad hum,
Kitne naye rishtey baanthe hai.
Magar in rishto mein se sirf,
woh pyaar ka pawitr rishta hai,
Jo hum marte dum tak nibhaate hain.

Dupatta
Dupatta laal chunari kaa,
Lipat kar tujh se rehataa hai,
Meri pyaasi nigaaho.n par,
hameshaa hansataa rehataa hai.

Kabhi udataa hawaao.n main,
Simatataa teri baahon main
Kabhi kaandhe pe bekaaboo,
Sirakataa firataa rehataa hai.

Tere kaanon main kehataa kuchh,
Ya seene se lagaa rehataa,
Teri dhakan ko gin gin kar,
Yeh uthataa girataa rehataa hai.

Kabhi teri kamar isski,
Girafton main bandhi rehati,
Kabhi yeh peeth par kaafir,
Khisakataa khinchataa rehataa hai.

Kabhi paunchhe paseene ko,
Kabhi dhakataa hai soorat ko,
Kabho gaalon ko choota hai,
Kabhi munh lag ke rehataa hai

Kabhi kaaleen ban jaataa,
Kabhi godi mai.n sota hai,
Tere haathon ko sehlaataa,
Satataa mujhko rehataa hai

Isse sar na chadhao tum,
Dupatta hai meraa dushman,
Hamaare darmiyaan har dam,
Kyon yeh besharm rehataa hai.

checkout http://www.http://www.loveurdu.com/urdu-drama/drama.swf its sooo cool!!!!! and http://www.loveurdu.com